₹500 Mein Ek Crore Ka Sahara – Insurance Ki Asli Kahani
₹500 Mein Ek Crore Ka Sahara – Insurance Ki Asli Kahani
Bachpan mein jab papa kisi “agent uncle” ke saath baithke kuch papers sign karte
the, main sochta tha — "ye log kya kar rahe hain?" Bada hone ke baad samjha ki
insurance sirf ek kagaz nahi hota. Wo ek soch hoti hai — apne parivaar ke liye.
Aaj ka zamana fast hai. EMI, petrol, school fees — sab kuch mehenga hai. Agar
kal ko main na rahun, toh kya mere maa-baap ya meri biwi sab kuch sambhal
paayenge? Yahi sawal har ek aadmi ko ek baar apne dil se poochhna chahiye.
Insurance lene ka matlab ye nahi ki hum negative soch rahe hain. Balki iska
matlab hai ki hum zimmedar soch rahe hain. ₹500 ya ₹1,000 mahine mein agar aap
ek badi musibat ke waqt apne ghar walon ka sahara ban sakte ho, toh mujhe lagta
hai ye best decision hai. Koi policy perfect nahi hoti, lekin agar niyat sahi
hai, aur aap samajh ke le rahe ho, toh wo policy aapke liye perfect hai.
Comments
Post a Comment